Youthon

Youthon

Tuesday, September 14, 2010

Suno to jara..


Created by   Devesh Jha

Bahut hua andhere me rona, ab mujhe jeeene ki raat dedo,


Kisi aur shaam apne labon ko chhuna, ab subah ki ek jhuthi mulakat de do.

Yun tum julfon ko pani me bhingne na do, ki sard sa hawa mujhse guzar jati.

Wo halki si kajal ko anchal se milne na do, raat ka atka ansoo abhi bhi nazar aati.

Chhupkar kyun meri tasweer dekhti ho, ki kangan tumhari mere rango pe ragar jati.

Chhill jati bhale tasweer meri, ab har ghari ispe kangan wali hath dedo.

Main na jaunga ghar lautkar shayad, tum apne thikano se nikal sath dedo,

Bahut hua andhere me rona, ab mujhe jeene ki raat dedo.

Har nazm ki kimat mujhe maloom nahi, tum bemol ki baat mat becha karo,

Tere sirhane tale bhi sukoon nahi, mujhe god me litane ka aks na dekha karo.

Iss jale patte par kya likhti ho, nai anguthi sone ki raqib ka dhundhla ho jayega,

Pata hai kanha feki khat tune meri, utha lo barish aa gayi na to geela ho jayega.

Namak ho ghar me to kal lete aana tum jara, zakhm pe dard ka silsila ho jayega.

Mai shahr ke sone se pehle nikal jaun, tum apne harkaton se wo jajbaat dedo,

Baad maut ke meri koi na samsaan tak aane wala, aayi jo ghar tere wo baraat dedo.

Bahut hua andhere me rona, ab mujhe jeene ki raat dedo.


Hansti hui jawani se chhinkar, rote hue bachpan wala saugaat dedo,

Bahut hau andhere me rona, ab mujhe jeene ki raat dedo.


                                     Devesh Jha